Shirdi wale sai baba

Shirdi wale sai baba

Amar Akbar Anthony-hindi-1913

aaaaa… zamane ne kaha tooti hui tasweer banti hai tere darbaar main bigdi hui taqdeer banti hai

tareef teri nikli hai dil se aayi hai lab pe ban ke qawaali shirdi wale sai baba aaya hai tere dar pe sawali

chorus shirdi wale sai baba aaya hai tere dar pe sawali

lab pe duayen aakhon main aansoon dil main umeedein par jholi khali shirdi wale sai baba aaya hai tere dar pe sawali

chorus dar pe sawali aaya hai dar pe sawali

shirdi wale sai baba aaya hai tere dar pe sawali

chours ooo…

o mere sai deva tere sab naam lewa

chours o mere sai deva tere sab naam lewa

khuda insaan saare sabhi tujhko hain pyaare sune fariyaad sabki tujhe hai yaad sabki bada ya koi chhota nahi mayoos lauta ameeron ka sahara gareebon ka guzara teri rahmat ka kissa bayan akbar kare kya do din ki duniya duniya hai gulshan sab phool kaante too sab ka mali

chorus shirdi wale sai baba aaya hai tere dar pe sawali

khuda ki shaan tujhme dikhe bhagwaan tujhme

chorus khuda ki shaan tujhme dikhe bhagwaan tujhme

tujhe sab maante hain tera ghar jaante hain chale aate hain daude jo khush kismat hain thode yeh har rahi ki manzil yeh har kashti ka sahil jise sab ne nikala use toone sambhala

chorus jise sab ne nikala use toone sambhala

too bichhdon ki milaye bujhe deepak jalaye

chorus too bichhdon ki milaye bujhe deepak jalaye -2

yeh gam ki raatain raatain yeh kaali inko banade id aur diwali

chorus shirdi wale sai baba aaya hai tere dar pe sawali

lab pe duayen aakhon main aansoon dil main umeedein par jholi khali

chorus shirdi wale sai baba aaya hai tere dar pe sawali -4