Kahin taare kahin shabanam

Kahin taare kahin shabanam

Aabshar-E-Ghazal-hindi-1913

kahin taare kahin shabanam kahin jugnu nikale saare manzar teri aawaaz ke jaadu nikaale

zindagi hum jiye auro ki kushi ki khaatir bheed mein hans diye tanhaayi mein aansu nikaale

tere hontho pe chamak utthe mera naam kabhi aur meri gazalo ke parado se kabhi tu nikaale

jab bhi yaad aa gaya woh saanwala chehara aankhon mein phool khile saanso se kushbu nikaale