Loading content...
Loading content...
Footpath-hindi-1913
dost milte hain bichhadne ke liye phul khilte hain bikharne ke liye aashiya bante ujadne ke liye abb samajh aaya ke duniya kya hai – 2
ik ubal tha ik junun tha mere jism me garm khun tha socha kuchh nahee bas nikal gaya apni aag me khud hee jal gaya – 2 dhup chadhatee hai utar jatee hai mauj sahil pe thahar jatee hai bat bhee had se gujar jatee hai abb samajh aaya ke duniya kya hai – 2
har taraf yaha maut hai ravan jindagee mujhe layee hai kahan dekha aaina toh mai dar gaya jine ke liye kitna mar gaya – 2 vakt jadu hai yeh chal jata hai rup kaa rang bhee dhal jata hai tap ke loha bhee pighal jata hai abb samajh aaya ke duniya kya hai – 2 duniya kya hai – 2