sur ho meri saanson mein lay teri dhadkan mein doob jaayein chal kisi anjaani sargam mein

alfaaz jo mausiqui mein ghul jaayein ik taar ki hum taar ban tharrayein ik geet ban jaayein

dooba dooba mann dooba dooba mann dooba dooba re khumaar mein khoya khoya mann khoya khoya tere pyaar mein

aaina jo dekhun main toh aks tera hi dikhey ho dil mera aur dhadkane ho teri

haan baal meri palak ka aur khwahishein teri ho sun ho neend meri loriyan ho teri

ho kyun na hum ik khwab ban jaayein dhoop tu aur chhaaon main dono ik aangan mein

bheeg jaayein chal kisi anjaane mausam mein ehsaas ye jazbaaton se mil jaaye

phirte rahein bas yunhi hum bharmaye ik geet ban jaayein

dooba dooba mann dooba dooba mann dooba dooba re khumaar mein khoya khoya mann khoya khoya tere pyaar mein